DAGHA NA DE
mere ham-nafas mere ham-navā mujhe dost ban ke daghā na de
maiñ huuñ dard-e-ishq se jāñ-ba-lab mujhe zindagī kī duā na de
~Shakeel Badayuni
atifqadri
instagram.com/rida_e_sukhan?igshid=1nuqnef05wusf
Research Scholar Aligarh Muslim University
-
atifqadri 8w
-
atifqadri 9w
KYA HOGA?
Aur Aage Jane Se Kya Hoga,
Kisi Se Dil Lagane Se Kya Hoga
Apne Ghar Ka Na Ho Saka Jo,
Tere Mere Ghar Ka Wo Kya Hoga
©atifqadri -
atifqadri 9w
Apne Khayalat Ka Izhar Kar Raha Hun Maiñ
Han Teri Hi Teri Hi Baat Kar Raha Hun Maiñ
Wo Jo Kehta Tha Tumhe Sada Yaad Rakhunga
Us Wada Khilaf Shakhs Ko Yaad Kar Raha Hun Maiñ -
atifqadri 9w
GHAREEB
Unki Ayyashiyoñ Ke Bhi, Charche Hue Shadmani Ke Sath,
Ghareeb Beti Hi Byah Saka, Woh Bhi Pareshani Ke Sath
©atifqadri -
BETRAYAL
Endure the betrayal of beloved with a smile on face.
©atifqadri -
Endure the betrayal of beloved with a smile on face.
-
atifqadri 9w
IMANDARI
Imandari tabhi yaad aati hai jab apna haq mañgna hota hai. Doosre ka haq dete waqt imandari ghar ke kisi andhere taaq maiñ rakh di jati hai.
~Atif Mustafa Qādrī -
atifqadri 9w
MAKEUP
Ham Isliye Nahin Roye Ke Raaz Faash Hoga,
Wo Isliye Nahin Roye Ke Makeup Kharab Hoga
©atifqadridinajpuri -
atifqadri 9w
SUKOON MILTA HAI
Hamko Khabar Hai Tum Nahin Aoge Magar,
Sada Lagane Se Kuchh To Sukoon Milta Hai
©atifqadridinajpuri -
atifqadri 9w
BADE LOG!
Ghurbat Ko Hiqarat Ki Nazar Se Dekhne Wale Bade Log To Ho Sakte Haiñ Lekin Achchhe Log Nahiñ Ho Sakte.
