Khaali pan bhi ajeeb hai
Kuch na hoke bhi itna
Sikha jaata hai
Kuch seekho isse
Sab hoke bhi humse
Kuch saha nai jata hai
@Shahebaz
©gleeman
gleeman
zindagi zinda dili ka naam hai
-
gleeman 14w
-
gleeman 14w
Sab kuch thik karte karte
Khud hi bigad jata hun
Baste hue khwabon ka ghar
Khud hi ujad jaata hun
Lakeero mein naseeb acha hi hoga
Par kya karu kuch padh nai pata hun
@shahebaz
©gleeman -
gleeman 16w
Dareeche par baitha rahoon
Khwaab saare tere dekha karoon
Raahguzar hairaan hai meri khaslat se
Sukoon chehra lekar bechain raha karoon
@Shahebaz
©gleeman -
gleeman 16w
Jab gham aur khushi saath aati hai
Ashkon ka sailaab lati hai
Kaise kahoon sab thik hai
Jab zindagi raas nahi aati hai
@Shahebaz
©gleeman -
gleeman 17w
Kitna shukr karun apni maa ka
Jo dhaal ban kar khadi hai
Jab bhi dua mein haath uthaye usne
Meri saari taklifein us tak aakar adi hai
Martaba to dekho uska
Jannat bhi uske qadmo mein padi hai
@Sahebaz
©gleeman -
gleeman 17w
Dua mein dard hota hai
Ya dard mein dua hoti hai
Kuch kar ya rab
Tere bande ki har zaat roti hai
@shahebaz
©gleeman -
gleeman 17w
The mellow colour of moon
Peaking early in the evening
Introducing the night to us
Leaving the sky gleeming
@Shahebaz
©gleeman -
gleeman 18w
Khalq se bhari ye duniya bhi ab khaali hai
Sukoon ki talaash sabhi ki jaari hai
Aankhen thak gayi hai ashkon se
Ki zindagi khushi ki maari maari hai
@Shahebaz
©gleeman -
gleeman 18w
Khaamoshiyon ki znajeeron mein qaid
Hue dil ke hassen alfaz
Bebasi ka alam to dekho
Khudhi sunn na paaye humari rone ki awaaz
@Shahebaz
©gleeman -
gleeman 18w
Kayar hun main ye to saaf hai
Ab khushi se bhi mujhe ikhtilaaf hai
Fir rota hai dil kyunki
Gham nazdeek hone ka ehsaas hai
@Shahebaz
©gleeman
