Shant kar
Shant kar is bhagte mann ko,
Ruk to sahi kuch pal,
Tu uljha hai khud main ye pata hai mujhe,
Lekin ye uljhan phir suljhegi to sabra to kar...
Tu haar to mann raha hai lekin ruk k piche dekh to sahi yaha tak ka sangarsh tera,
Yu itna rasta tu ne ek din ase harne k liye to nahi paar kiya tha,
Koi to wajha hogi is raste ki shuruwat mai jo tune ye rasta chuna,
Koi to chaah tere bhi dil mai hogi,
Yaad to kar us chah ko ek bar phir se tu,
Yaad to kar us pal ko phir se tu jab suffar shuru kiya tha tu ne ye...
Yakeen maan ye askar hota hai jab mann
Shangarshon k agay khud ko hi thaka sa mehsoos karta hai
Thakna galat bhi nahi hai leKin thakne ka matlab rukna to nahi hai
Kuch pal sab bhool k araam kar
Kuch khud ko khud se shant kar
Phir us halki si awaaz ko sun jo aaj bhi tujhse
Bar bar khe rahi hai
"Bas ek koshish or kar"
"Bas ek koshish or kar"
"Bas ek koshish or kar"