• shoaib_malik 18w

  Seh liya hai maine,
  Kayi manzar maut ke,
  Kis tarah se magar?
  Ye puchna na mujhse,

  Dekhe hai chashme,
  Pani se mehroom,
  Kya hai wajah iski?
  Ye puchna na mujhse,

  Aag ka darya dekha hai,
  Pani ko bujhata hua,
  Hua ye mumkin kaise?
  Ye puchna na mujhse,

  Azano mai dard paya,
  Namazo mai khauf bhi,
  Haal e mohabbat aisa kyu?
  Ye puchna na mujhse,

  Zeher bhari nigahein,
  Shehed si iski jhalkein,
  Baat kiski karte ho Shoaؔib?
  Ye puchna na mujhse,

  ©shoaib_malik