Ek Soch
ek soch akal se phisal gae
mujhe yaad thi k badal gae
meri soch thi k wo khaab tha
meri zindgi kaa hisaab tha
meri justju k baraks thi
meri mushkilon ka wo akus thi
mujhe yaad ho to wo soch thi
jo naa yaad ho to ghumaan tha
mujhe bethe bethe gumaan hua
gumaan nhi tha
khudaa tha wo
meri soch nhi thi khudaa tha wo
wo KHUDA k jisne zubaan di
mujhe dil diya
mujhe jaan di
wo zubaan jise naa chala sake
wo dil jise naa mana sake
kabhi mil to tujhko btaen hum
tujhe is tarah se sataen hum
tera ishq tujhse chheen kar
tujhe meh pilaa k rulaen hum
tujhe dard dun tu na seh sake
tujhe dun zuban tu na keh sake
tujhe dun makan tu na reh sake
tujhe mushkilon main ghiraa kar
main koi esa rasta nikal dun
tere dard ki dawa main karun
kisi garz k main siwa karun
tujhe har nazar par ubor dun
tujhe zindgi kaa shahoor hun
kabhi mil bhi jaen gain gum na kar
hum gir bhi jaen gain gum na kar
tere ek hone main shak nhi
meri niyaton ko tun saaf kar
teri shaan main bhi kami nhi
mere is kalaam ko mauf kar
by yousuf qureshi